Ki Tum me ghar Milta Hai
Tujhse pehli mulaqat,
aise thi jaise kisi anjane sheher mein
achanak apni gali ka koi mil jaaye.
Jese kandhe par tasalli ka haath rkh ke koi kaan me fusfusaye
"Yeh teri jagah hai."
Tere saath,
main apna wazan utaar deti hoon,
vo jo roz ki fikron ka bhaar leke me chalti hoon,
Darwaze pe chhod ke tujhse milti hoon
Tere alfazon mein,
ek chulhe ka garam dhuaan hai,
jo sardiyon ki shaam mein
hathon ko sekta hai.
Tere khamoshi mein,
Jese Ghar ki chhat pe tehlne se milne wala sukoon hai,
Log kehte hain,
ghar ek imaarat hota hai,
lekin mujhe pata hai
ghar ek dil hota hai,
jo tumne mere liye khol rakha hai.
Tum meri dehleez ho,
jahan se main har baar
nayi umeed lekar nikalti hoon
aur jahan laut kar
thakawat se gir jaati hoon,
befikr, bina dare.
Aur shayad isi liye,
jab duniya ke raste
thode kathin ho jaate hain,
main tumhari taraf dekh kar kehti hoon —
"Ki tum me ghar milta hai."
Comments
Post a Comment